Best Islamic Quotes In Urdu

Best Islamic quotes, Islami hadees aur aqwaal-e-zareen humari zindagi ko roshan karne ka behtareen zariya hain. Hazrat Muhammad ﷺ aur Ahl-e-Bait (A.S) ke in anmol alfaz mein na sirf hidayat balkay roohani sukoon ka silsila bhi chhupa hota hai. Aaj hum aap ke liye Hazrat Ali (R.A), Imam Hussain (A.S), Hazrat Fatima (R.A) aur deegar buzurgan-e-deen ke khaas aqwaal share kar rahe hain jo aap ki zindagi ko asaan banane aur iman ko mazboot karne mein madadgar sabit hongay.

Hazrat Ali RA Best Quotes.

Sabr karne wala fatah paata hai, aur jaldbaaz hamesha nuqsan uthata hai.
صبر کرنے والا فتح پاتا ہے، اور جلدی باز ہمیشہ نقصان اٹھاتا ہے۔

Aqal mand ki pehchan yeh hai ke woh har baat par yakeen nahi karta.
عقلمند کی پہچان یہ ہے کہ وہ ہر بات پر یقین نہیں کرتا۔

Mohabbat mein itna bhi nahi doob jao ke apna wajood kho do, aur nafrat mein itna bhi na badho ke salaamat na raho.
محبت میں اتنا بھی نہ ڈوبو کہ اپنا وجود کھو دو، اور نفرت میں اتنا بھی نہ بڑھو کہ سلامت نہ رہو۔

Ghalat insaan ki sab se badi saza yeh hai ke woh apni ghalti samajhne se mehroom ho jata hai.
غلط انسان کی سب سے بڑی سزا یہ ہے کہ وہ اپنی غلطی سمجھنے سے محروم ہو جاتا ہے۔

Dunya ek saaya hai, agar tum isse pakadna chaho to yeh fana ho jayegi.
دنیا ایک سایہ ہے، اگر تم اسے پکڑنا چاہو تو یہ فنا ہو جائے گی۔

Best Islamic Quotes In Roman Urdu

Kamzor ki madad karna, zulm ke khilaf khara hona, sab se bze ibadat hai
کمزور کی مدد کرنا، ظلم کے خلاف کھڑا ہونا، سب سے بڑی عبادت ہے۔

Jab gussa aaye to khamoshi ikhtiyar karo, warna aapki aqal par sawal uth khara hoga.
جب غصہ آئے تو خاموشی اختیار کرو، ورنہ آپ کی عقل پر سوال اٹھ کھڑا ہوگا۔

Apni zaban ko qaboo mein rakho, warna woh tumhein zillat mein daal degi.
اپنی زبان کو قابو میں رکھو، ورنہ وہ تمہیں ذلت میں ڈال دے گی۔

Dost woh nahi jo tumhari khataon par parda daal de, balke woh jo tumhein unka ehsaas dilaye.
دوست وہ نہیں جو تمہاری خطاؤں پر پردہ ڈال دے، بلکہ وہ جو تمہیں ان کا احساس دلائے۔

Jo shaks apne gham ko chhupata hai, uski izzat barhta hai.
جو شخص اپنے غم کو چھپاتا ہے، اس کی عزت بڑھتی ہے۔

1 thought on “Best Islamic Quotes In Urdu”

  1. Pingback: 21 Timeless Hazrat Ali Quotes in Urdu That Touch the Soul -

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Post

Scroll to Top